Zindagi Gulzaar Hai...
Zindagi Gulzaar Hai humko iss se pyaar hai Aana ek baar hai,kho dena bekaar hai..
Shaam ke 8 bajte hi iss geet ke sath sabhi ke honton pe ek muskaan aa jaati thi.. aur zindagi wakai gulzaar ho jaati thi. Ji main baat kar rahi hun PAK drama serial "Zindagi Gulzar Hai" ki.Ye geet aajkal India mei sabki juban par hai,aur iss serial ne sabhi ko apna deewana bana diya hai.
Haanlaki ab ye serial vida le chuka hai lekin log hein ki bhool hi nahin paa rahein hein.. Saalon saal chalne wale saas bahu ke serial dekh ukta chuke logon ko vishwas hi nahin ho raha hai ki koi serial 26 episodes mei khatam bhi ho sakta hai... Koi bhi Indian serial agar off air hota hai toh main chain ki saans leti hun ki chalo khatam toh hua. Kaash Indian serials ke producers aur channels ne iss drama se kuchh seekha ho.. yahi dua hai.
Kam se kam make up aur kirdaar ko suit karte libaas pahne aur natural acting karte kalakaron ke aage lakdak kapde aur gahne pahni humari serial ki saas bhuyein bahut hi banavati lagti hein.Zindagi Gulzaar Hai ke kirdaar chahe wo Kashaf (SanamSaeed),Zaaroon (Fawad Khan) ho ya Raafia ya Murtaza sabhi asal zindagi ke kirdaar lagte hein. India mei Kashaf aur Zaroon ne logon ko deewana bana diya hai. Fawad Khan toh india mei apni film 'Khoobsurat' ke release hone se pahle hi hero ban chuke hein. Unke masoom chahre aur bolti nasheeli aankhon ne ladkiyon ki raaton ki need hi udaa di hai .. ( ye batana zaroori toh nahin ki unn ladkiyon mei main bhi shaamil hun ☺☺) ... hmm khair.. ..
Aur background mei chalne wale music ke baare mei toh kya kahun.. seedhe dil ki gaharaion mei utarta chala jaata hai.. " Zindagi khak na thi, Khakk udaa ke guzri... Tujh se kya kehte , Tere paas jo aate guzri'
Naseer Turabi ne isse jitni khoobsurti se likha hai utni hi khoobsurti se Hadiqa Kiani ne gaaya bhi hai.
Zindagi Khaak Na Thi, Khaak Udaa Ke Guzri

Tujh Se Kya Kehte, Tere Paas Jo Aate Guzri
Din Jo Guzra, Toh Kisi Yaad Ki Roh Mai Guzra
Shaam Aayi Toh Koi Khwaab Dikhate Guzri
Tujh Se Kya Kehte, Tere Paas Jo Aate Guzri
Ache Waqtoon, Ki Tamanna Mai Rahi Umar-e-Rawaan
Waqt Aisa Tha Ke Bas Naaz Uthate Guzri
Tujh Se Kya Kehte, Tere Paas Jo Aate Guzri
Zindagi Khaak Na Thi, Khaak Udaa Ke Guzri
Raat Kya Aai Kay Tanhai Kay Sargoshi Main
Ghum Ka Aalam Tha Magar Sunte Sunate Guzri
Tujh Se Kya Kehte, Tere Paas Jo Aate Guzri
No comments:
Post a Comment